Showing posts with label Hindi Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Hindi Ghazal. Show all posts

Thursday, February 28, 2013

Hindi Ghazal -Hindi Shayari in Hindi

Kar raha hoon yad gesu (Bal) ka maja
Dhup main leta hoon loo ka maja
Uski aankhon ki nashili mastiyan
Ya ki loon main apne aasoon ka maja
Ghir gaya hoon main katili bar se
Ud gaya aakash khushboo ka maja
Unki khatir gar nadi ka neer hai
To hai mere nam baloo ka maja
Ho nahi sakta hai yah uska makan
Khwab jaisa ho gaya mere liye
Film Surkus, Nach , Jadu ka maja
Tod deta hai khilaune mauj main
Khoob hai ye mere raju ka maja
Ekdam Hindi gajal kaise kahoon
Ghul hi jata isme urdu ka maja…

Hindi Dard Ghazal Shayari

Tumse bichhar ke apni halat ho gayi hai
Raton main roj jagne ki aadat ho gayi hai
Yad aati hai uss bewafa ki har bat mujhko
Ki unse mujhko mile muddat ho gayi hai
Andhere itne bha gaye dil ko
Ujale se sakht nafrat ho gayi hai
Aa gaye jo surkhiyon main kalam shaya hue risalon main
Unhi ki jaha main ijjat ho gayi hai
Such kahenge to pathar marenge sine par
Warna jhuth ki jamane main shohrat ho gayi hai
Padh-Padh kar galib tere gajle
Mujhe bhi gajal likhne ki chahat ho gayi hai
jalaye jo chirag-e-ulfat Dost jo jamane se chhup kar
Bas un chiragon pe bhi hawao ki kudrat ho gayi hai.

Tuesday, February 26, 2013

Hindi Ghazal Shayaris

Tum apne mahal ki fikar karna
Garibo ka jhappar jalane se pahle
Aajmana apne pyar ko kasauti par
Kisi diwane se dil lagane se pahle
Yakin mano hath kanp (kampan) uthenge tumhare
Pyar bhare dil ko jalane se pahle
Chhalkenge aansu aankhon main hajar bar
Mohababat main rang lane se pahle
Chamak uthegi aasma main bhi bijliya
Bin badal barsat aane ke pahle
Toot jate hain khwab mohababat main aksar
Suna hai khwab sajnae se pahle
Yah mashum chehre bhi dete hain dhokha
Na samjhega koi chot khane se pahle
'Avinash' ki bhi uthegi maiyat (janaja) yaron
Bewafa ki doli sajan ke ghar jane se pahle.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...